Haq Ali Ali Mula Ali Ali Manqabat by Nusrat Fateh Ali Khan
rahia307 Published on Dec 31, 2010
Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-Ali hazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali
Haidariam qalandaram mastam bandaa-e-Murtaza Ali hastam peshvaa-e-tamaam virdaaram ke sage kuu-e-sher-e-yazdaanam
Kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaaNp jaataa hai Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaaNp jaataa hai
Shaah-e-mardaaN Ali Ali Ali Ali Ali Maula Ali
Patthar pe alam deen ka gaaRaa jisne lalkaar kar Marhab ko pichaaRaa jisne
Haq Ali Ali Ali Ali Maula Ali
jap le jap le mere manvaa yahii naam sacchaa hai pyaare yahii naam tere sab dukh haare isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol
shaah-e-mardaaN Ali la fataa illah Ali sher-e-yazdaaN Ali
Tan par Ali, Ali ho zubaaN par Al Ali mar jauuN to kafan par bhii likhna Ali Ali
BaGhair hubb-e-Ali mudd'aa nahiiN miltaa ibaadatoN kaa bhii hargiz silaa nahiiN miltaa Khudaa ke bandoN suno Ghaur se Khudaa kii qasam jise Ali nahiiN milte use Khudaa nahiiN miltaa
Basad talaash na ab kuch vus'at-e-nazar se milaa nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hameN Khudaa ko dhuuNdha to vo bhi Ali ke ghar se milaa
Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii gul-e-tathiir Ali haq kii shamshiir Ali piiroN ke piir Ali
Dast-e-ilaa kyuuN na ho sher-e-Khudaa Ali maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali jis tarah ek zaat-e-Muhammad hai be-misaal paidaa hu'aa na hogaa ko'ii duusraa Ali "Bedam" yahii to paaNch haiN maqsuud-e-qaaynaat Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali